Gurr Good hai !
Kuch Din pehle I went to @waghbakritealounge.official in Connaught Place, New Delhi. Pehle bhi gaya hua hu. Iss baar menu mein “Gurr-Chai” dekhi aur socha yehi Good hai, isko hi order kar lete hai. Chai ki taazgi aur Gurr as a Natural Sweetner, Gazab Combination hai.
Jab tak Chai ban rahi thi, Tab tak, I kept observing and clicking the beautiful interiors of this lounge in CP. Bahut hi Cozy type ki feeling, As if you are in your private space.
Kuch Cheezein quirky bhi hai, Like the Barri si Clock with Tea Cups instead of Numbers, Jaise ki Chandelier comprises Cups and Kettles instead of Bulb Holders.
Abhi click kar hi rha tha ki meri Gurr Chai aa gayi along with the ChatkareDaar Samose aur Makhana Chaat.
Kabhi Samose ki Bite leta to kabhi Makhana Chat ki aur uske baad Gurr ki Chai ki Chuski.
Perfect Winter Drink hai yeh jee 🙂
Wagh Bakri Tea Lounge ka chakkar ab lagta rahega, Gurr Waali Chai ke liye, Wahaan ke Mahaul ke liye, Wahaan ke Samose ke liye, Wahaan ke Sukoon ke liye, Wahaan ki Makhana Chaat ke liye aur wahaan ki Perfect Location ke liye.
Sacchi, Gurr Waali Chai, Bahut Good hai Jee 🙂
Leave a Reply