Kya aapko bhi Rotisserie Chicken pasand hai?
Fir toh Burdy’s Gurgaon jaana banta hai jee!
Jee, yes. Kuch din pehle hum M3M 65th Avenue mei the and wahan Burdy’s dekhte he socha ki yahaan ka khana try kiya jaaye.
Aur bhai sahab, kya hi kamaal ka tha!
Burdy’s pe millega aapko roasted chicken, woh bhi fresh to order aur antibiotic-free.
Humne khaaya inka Burdy’s half chicken jiske saath aayi bahaut saari fresh veggies. Aur fir humne khaaya inka shaandaar Roasted Chicken Rice Bowl which is a complete meal aapke dill aur paet dono ke liye.
Wraps ho, roasted chicken ho, salads ho ya ho rice bowls. Jee yes, ye sab milega yahaan.
Jaldi jaao aur aap bhi khaao jee.
-M3M, 65th Avenue
Gurgaon

Leave a Reply