Curly tales ka naam humne suna hai
Unka ek segemnt hai “Teri Gully Mein”, Which has been graced by “Vadde vadde Log”.
Uss segment mein Aapke Bhai ka naam bhi add ho gaya hai jee 🙂
Kuch din pehle I took Curly tales ki “Teri Gully Mein” team to “Meri Gali” in Karol bagh.
A place where I spent 22 years. Wahi janam hua, wahi se Zindagi seekhi, Wahi, Chalna bhi Seekha and wahi Bhagna bhi.
Wahi Uthe bhi and wahaan kayi baar gire bhi 🙂
Uss Chhote se ghar mein Hum 6 log rehte the, par kabhi chhota nahi laga. Ab picche murkar dekhte hai to zaroor chhota lagta hai.
Shayad aisa hi hota hai, jo aapka Ghar hota hai, Woh jaisa bhi ho, Aapko Accha lagta hai. Sukoon wahi milta hai aur wahaan ki yaadein fresh rehti hai “Jab tak hai jaan”
Ab baat Ghar ki ho rahi hai to wahaan ke khaane ki bhi hogi.
School se ghar aate to Seedha Mummy se poochna ki khaane mein kya hai and steel ki plate mein Khaana shuru kar dena. Aur agar Khaane mein Rajma Chawal (My Fav) ho then ek Thumsup khol ke, Barf se bhare Steel ke glass mein daal deni and tab to lunch aur bhi barriya ho jaata tha.
Khaane ki ek aur baat. Humara house khaane ki saari famous aur barriya places se 5 mins li walk par tha.
Chahe woh Om Bhature Wala ho ya Sindhi Tikki wala., Chahe woh Peshawari ka Chicken ho ya Chinese wala The Spot. Baaki Eating plaza aur Apna Dhaba bhi paas mein tha jab elaborate Meal khaane ka mann kare.
Bas yehi bataya humne Teri Gully mein” ke episode mein bhi.
Apni kahani, Apni Zubaani with lots of games and masti.
Aapne ab Behind the Scenes to dekh liya hoga, ab intezaar kijiye main video ka on Curly tales YouTube Channel par.
Waise aap Kuch apni gali ke baare mein bataiye. Kya Naam tha aapki gali ka.
Mine was Gali Number 1 🙂
Leave a Reply