Food knows no Boundaries.
Aaj hum Apne Mohalle ka khaana bhi khaate hai, Apne Sheher ka bhi, Apne desh ke har rajya ka bhi and world ki har country ka bhi.
Kisi ko kuch accha lagta hai to kisi ko kuch, Par sab alag swaad chakhna chahte hai, Chahe uske baad ghar aakar Dal Chawal hi khaaye acche se.
Jab hum Punjab ke khaane ki baat karte hai then apne aap hi mooh mein paani aa jaata hai aur chehre par muskaan.
Unme se kaafi khana hum Kha chuke hai. Chahe woh Amritsar ke Kulche ho ya Kotkapura ka Aata Chicken, Chahe woh Ferozepur ki Macchi ho ya phir Patiale ki lassi, Chahe woh Ludhiana ka Chicken ho ya phir Taran taran ki jalebi. And this is just touching the top. Abhi to 100 aur kamaal ki dishes hai and woh bhi Authentic khaane ke liye Punjab hi jaana parrta hai.
Ab Punjab ka ek hissa aur bhi hai, Jo ab India ka part nahi hai and wahaan bhi khaane ki ek se ek barriya dishes milti hai. Par woh humko khaane ko nahi milti.
Kuch din pehle The GT Road ki Deepika Sethi jee ne plan banaya ki Poore Punjab ki saari dishes Dilli waalo ko khilaate hai, Unki Zubaan aur Chehre ko khush kar jaate hai.
Bas Utpann hua Swaad-E-Punjab Food Festival jahaan well travelled and well learned Chef Sherry jee ko baagdorr sambhali gayi to create mouth Watering Dishes from the region along with the talented Team of Chefs From The GT Road headed by Chef Naresh.
Mujhe bhi bulaya gaya, ki Aap apna tarrka laga do, iss Journey ko aur bhi khushnuma bana do 🙂
Ab baat Khushi phailane ki ho then hum picche kaise rahe. Socha ki Punjab ka ek chakkar maar aate hai, uss Swaad ko aur Refresh kar aate hai. Poori team jab saath mein khayegi to nayi baatein nikal ke ayengi.
Bas aisa hi kiya aur aisa hi hua. Poore Punjab ka trip to nahi maar sakte the, par Amritsar ka zaroor maar sakte the. Because in my Opinion Amritsar is most RICH jab Food ki baat hoti hai.
Hum khud to maze karke aaye, aapke liye bhi ek jhalak lekar aaye. Dekhiyega.
And 13th April se 30th April tak @thegtroad Aaiye, And humare piroye hue Moti roopi khaane ka anand uthaiye.
Daawa hai ki Khayenge aap Mooh se, par har Niwala pehle Dil tak jayega 🙂
Leave a Reply