I Love Amritsar

Poori Zindagi Guzaar di Khushiyaan batorte hue, Par baad mein pata chala ki khush to woh the jo Khushiyaa baant rahe the.

2012 mein yeh parra kahi and uske baad isko bana liya apne jeewan ka tareeka.

And sach mein Mujhe isi mein khushi milne lagi.

Zindagi mein bahut Kuch khoya hai bahut paaya hai bahut kuch kho kar wohi wapas bhi paaya hai.

Ab AAP jab khushi de bhi rahe ho tab bhi always ensure to steal moments for your happiness.

BARRII Khushiyon ke mauke kam aate hai, so chhoti khushi ka jab mauka mile to usko chura lena chahiye.

Aisa hi maine bhi kiya kuch din pehle. Mujhe Gurleen ne poccha ki what makes you happy,.

Ab Meri liye Best Food for the Soul hai Darbar Sahib Amritsar ke Darshan aur uske baad Langar.

And Best Food for Stomach hai Pehlwaan ke Amritsari Kulche ki Thali ya Kesar ke Dhabe ki Channe Aur Dal waali thali jisme Desi ghee lagya nahi jaata Pour kiya jaata hai. Saath mein Laccha parantha jiski layers aapki Mehbooba ki Zulfe se zyada gehri hai. Thanda Boondi ka Raita, Sarso ke tel mein bana achaar aur Kacche Pyaaz. Bas sabjho jannat ke Darshan karke wapas aa gaye ho.

To bas kar li Ticket book aur chale gaye Amritsar. Subah ko gaye, Shaam ko wapas aa gaye, par dher saari yaadein aur Dil mein Sukoon ka bhandaar, aur Zubaan par kuch mahino tak rehne waala swaad le aaye 🙂

Aap bhi auro ko khush karte hue apni Khushi ko importance dijiyega in tyohaaro mai Kyuki dono hai zaroori.

#khushiyanapnokiaurapnibhi

#amritsar#khudkikhushi#collaboration#mistertikku

Your Views?

About Author

Gurpreet Singh Tikku

Meet Mister Tikku – a food influencer, hardcore entertainer, and smile spreader extraordinaire! With a passion for all things delicious, Mister Tikku has spent years exploring the world of food and sharing his experiences with his followers. With his infectious personality and knack for finding the best bites around, Mister Tikku has gained a loyal following on social media and has established himself as one of the most trusted voices in the food & beverage industry. @MisterTikku

Leave a Reply