Bachpan se I’m a Fan of Thali. Ghar mein bhi maza aata tha jab special Guests aane par Mummy barri se tray mein 2 Katori Subji, 1 katori Daal, 1 Katori Rajma, 1 Katori Raita, Chawal, Roti, Salad se bhar ke deti thi.
It was not about the Quantity but the Variety that made the child within you Happy
Abhi Child Within Zinda hai and I love Thalis. Chahe woh Ghar par ho ya Restaurant par , Chahe woh India ki ho ya kisi aur country ki, Chahe woh Punjabi Khaana ho ya North Eastern.
Goa ki Fish Thaki bhi Mash’hoor hai.
Bas Fish badal jaati hai par baaki sab samaan same.
Iss Baar Goa Gaye to soch rahe the ki kahaan Khaaye.
Ek dost ne Vinayak bola, Dusre ne Anand, Teesri ne Fountain View bola.
Hum Fountain View hi chale Gaye. Ek to woh Dost Goa mein hi rehti hai, Dusra reason it was near our Hotel.
Khuli si jagah, Ek side par Kheto ka aur Paharo ka View, Dusri Side Fountain ka that does not work and thora Paani bhi Ganda sa tha.
We took a Seat with Khet View and humari Thali 5 Mins mein aa gayi.
Chawal bhi, Fried Fish bhi, Bhindi bhi, Small Prawns bhi, Salad bhi, Ek Fish curry bhi and end mein sab Pachane ke liye Goa ki Famous Sol Kari bhi.
Overall Maza aa gaya and Bill aaya Rs. 300 for one thaali.
Waise we also ordered a Chicken Biryani. You may raise a Finger ki shayad it was not authentic Biryani, Par if this is the Taste of Biryani then I want my Biryani to be like this everywhere. So Good 😊
(Biryani not in Reel, Pic bhi nahi Li. Never thought it would be so Good that I would again Talk about it. Rs.200)
Fountain View Restaurant
Gumal Vaddo, Anjuna, Goa 403509
Open from 11 am to 12 am
# 9850450220
Leave a Reply