Kehte hai Dilli Dilwalon ki hai. And yeh yuhi nahi kehte. Iss Dilli mein jo aaya, Dilli ne usko apne Dil mein jagah di.
Woh baat aur hai ki jaise Aapke X ne aapke Dil ko torra, aise hi Kaafi Rulers ne Dilli ko tabah bhi kiya. Par Dilli Kharri rahi, Humare Liye, Aapke liye aur har uss Dil waale ke liye jisne Dilli ko apna Ghar banaya .
Haan, Ek baat hai, Jo bhi Dilli aaya apne saath apne Swaad ka Khazana laaya aur humesha ke liye yahi ki Hawa mein ghul gaya woh swaad.
Usi swaad ko aaj hum Celebrate karte hai isi wajah se Door Door se log Dilli mein Khaana khaane aate hai 🙂
Ab yeh har jan ko pata hai ki nobody knows its Food Better than ITC Hotels. Aur jab ITC Hotels DIlli ke khaane par koi peshkash kare then soch lo ki sab chorr-charr ke jaana banta hai.
So hum pahunch gaye jee Hotel Sheraton Saket, DEHLNAVI ka maza lene. A Food festival curated by the Chefs at ITC Hotels presenting the Iconic Delicacies of Saddi te Tuwadi Dilli.
Seedha Khaane par aate hai.
Sabse pehle pesh hua Mohabbat ka Sharbat, Yes wohi Jo Reels par bahut popular hai. Ek ghoont maara aur sar se lekar pairo tak Thandak aa gayi 🙂
Ab baat Dilli ke khaane ki ho aur Chaat ki baat na karein, yeh to Paap hai.
Dahi Gujiya aur Raj kachodi ki har bite ne Chaat ki saari talab mita di. Aisa lag rha tha ki Chutney to khaas mehnat karke banayi hai kyuki har bite mein chutney ka chatkara alag hi aa rha tha. Jee chah rha tha ki yeh silsila chalta rahe. Par then Kuliya ki Chaat bhi to khaani thi.
Ab kuliya ki chaat aapne nahi khaayi then aapki humari dosti nahi ho sakti. Ek aisi Anokhi par simple item hai hai ki aap ek baar khaoge to baar baar khaoge. Needless to say ki ITC Chefs ensured ki Dilli ke swaad mein koi kami na reh na jaaye ek boond se bhi nahi 🙂
Before you ask me ki aap kaise kha sakte hai, let me tell you ki DEHLNAVI as a festival can be enjoyed at Sheraton and ITC Maurya till 30th of the month along with the Buffet at βThe Pavilion ”. Uske baad it shall be touring with the same Chefs to other ITC Hotels in Chennai, Mumbai, Bangalore, Etc.
Abhi check karke book kar lijiye.
Ab samay hai main Course ka 😊
Hey Bhagwaan, Mein seedha Main Course par aa gaya, Starters ke baare mein to btaya hi nahi. Mujhe bhi paap lagega 🙂
Non-Veg mein thi Dilli ki Fish Fry aur Purani Dilli ka Fried Chicken. I bet you will ask for a second and then third serving too π
Ab agar Baat ITC Hotel ki hogi aur hum Biryani ka Zikar na karein, yeh mumkin nahi hai. Not many people know ki Dilli ka bhi ek Biryani Culture hai, the less talked about. Simple, Sarai Ki Biryani ka. Par uska zikar kabhi aur karenge. Aap kahoge ki abhi yeh zikar kyu kiya phir, Arre Baba isliye kiya kyuki yeh Biryani bhi Dehlnavi ka part hai.
Veg waale Dosto, Mein yahaan Veg ke baare mein nahi likh rha, par Veg ki bhi bahut variety hai, Rather Non veg se zyada and when you go then do not forget to have Kunni Daal, My fav Daal Dehlnavi and Mutter Paneer Naize 🙂
Non veg mein Ofcourse Butter Chicken, Delhi Ki Nihari. In one photo you can see me and Kusha jee lovingly looking at Dilli ki Nihari. 🙂
Kahani Thori aage barrate hai, Hum Zara meethe par aate hai. Baraf ki haandi (Kulfi) ne mera Dil pighla diya. Motiya Zarda ne mera Dil ka zarra zarra khush kar diya, Gulab jamun ne mere Jism mein mehak Faila di aur Khurchan ne Mere Dil ke saare kaante khurach diye.
Chalo ab hum chalte hai, Mooh mein Phir sailaab aa Jayega, Mujhe phir Dehlnavi jaana parr jayega 😊
Leave a Reply