कितने खुबसूरत हुआ करते थे बचपन के वो दिन
सिर्फ दो उंगलिया जुड़ने से दोस्ती फिर से शुरु हो जाया करती थी
Bas aisa hi masoom tha Bachpan humara, kabhi KATTI to Kabhi ABBA.
Bas aisa hi masoom tha Bachpan humara ki koi Birthday party par bula le to uske liye hum kuch bhi karne ko teyarr ho jaate the.
Bas aisa sa hi tha Bachpan humara ki uss Birthday party par sab khaane ki cheezo ko ek chhoti si plate mein de diya jaata tha, Usi plate mein namkeen meethe ke gaalo par laga hua bhi kha liya jaata tha aur Biscuit Campa mein Dip kar ke bhi kha liya jaata tha.
Aaj jis Sadharan si PineApple Pastry ko shayad kuch log nakaar dete hai, Beete hue kal mein usi ko mil jaane par hum jashn manate the.
Bas aaj bhi woh yaad aati hai to Muskurane ka mann karta hai, ek hi plate mein Wohi Pineapple Pastry, Wohi Rasgulla, Wohi Namkeen ke Lacche, wohi Biscuit, Wohi Toffee aur wohi Frooti aur Campa ka nazara yaad aata hai 🙂
Aaj mein thora Bhavuk sa ho gaya, Aaj aapka Tikku phir wohi Cheh Saal ka Balak ho gaya 🙂
Birthday Party mein Aapki Favourite kya item hoti thi yeh humko bhi batao, Apne Bachpan se aaj humko bhi Milwao 🙂
Leave a Reply