One Question that I have been frequently asked is about the “Best Meal I have ever had.”
There have to be a few, Be it the Pure Veg Khaana at Deepak Dhaba Barnala, Be it the amazing spread at Indian Accent (Specially the last one I had at Gurleen Kaur Tikku Cfp’s Birthday), Be it the Home Delivered Meal from Farzi Cafe, CP (Shayad my first bahar ki meal post COVID Lockdown) ya phir At AVARTANA ITC Grand Chola, Chennai ki woh Jaadu Bhari shaam ka Khazana.
Par aaj ek aur meal yaad aayi.
24 January, 2022. Kolkata.
Ek din pehle raat to 2 baje soya and woke up at 5 am and left my Hotel at 7 am for Howrah Bridge.
Aage poora din shoot the, Bahut kuch khaana tha so was excited.
1 Ghanta to bas Howrah Bridge par hi chalta tha, Logo ko observe Kiya kuch shoot kiya. Bahut Maza aaya.
Phir niche Malik Ghat ki Phool Market mein gaya aur Rango aur Mehak ki duniya mein kho gaya. Bahut ghooma, Bahut shoot kiya. Bahut Maza aaya
Uske baad ghat side par gaya.
Bahut logo ko apne-apne kaam karte dekha. Alag si zindagi thi, unse Baatein ki, Shoot kiya. Bahut maza aaya.
And then wahi “Kaayi” jami hi thi. Maine dekha nahi, uppar pairr rakh diya aur mein fissal gaya.
Landed on my Wrist and Karakk si awaaz aayi and mein samajh gaya ki Haddi to gayo!
Bilkul Maza nahi aaya
11 Baj gaye the & then a friend suggested a Hospital. Dard ho rahi thi, Par I kept my calm and composure.
Wahaan gaye, Doctor sahab ne Bola Surgery hogi. To hum nikal aaye ki jo hoga Dilli karvayengey.
12 baje gaye the, Subah se ek garai nahi khaayi thi. Bas shayad 2 Biscuit liye and Pain Killer Khaayi.
Mann bahut vyakul tha, Pareshaan tha, Dard bhi thi.
Cab se maine Hotel @itcroyalbengal mein @arundhati.gh jee jo call karke btaya ki I shall check-out aaj hi. She asked ki kya hua and then said ki we are there for any Help, Support. Relief Mila 😊
Uske baad maine Hotel ke Butler Bhaiya, Ishaan ko call karke bola ki Bhookh Lagi hai, Pls ek Kolkata Biryani teyarr karke room mein bhijwa dijiye.
1 pm Room pahuncha, Danish Bhai ke saath milkar apna samaan pack kiya.
Abhi tak I had maintained my calm, Dard tha par it was more important for me to keep my Presence of mind. And koi GHAR wala nahi tha aas paas so I had to be the THINKING person.
Biryani aayi, Baaki sab chale gaye apne kaam par and for the first time since CHOT I was alone.
Biryani ka dhakkan khola, Bahut Bheeni mehak aayi.
Bahut zyada thi Biryani. Laga ki bach jayegi.
Haatho se hi khana shuru kiya. Ek bite andar and mere andar se awaaz aayi, SAU Baar Shukriya.
Pata hi nahi chala ki mein kab saari Biryani Kha gaya.
Bahut sukoon mila. This was my first meal in last 17 hours and also my “first Meal” after the Chott.
Khaate khaate thore ansoo nikal rahe the, Par control kiya.
Bas uske baad mein apne Bed par gaya. Shaanti thi Bahut, Ghar se Gurleen ka call aaya. And Gurleen se baat karte karte mein roya, Bahut Roya.
Bahut kuch tha andar, Planned Trip kharaab hua, Chotti si galti se Barri chott lag gayi, Aage 2 Mahine ki Taqleef hogi, Dard bhi thi and was uncertain ki haath ka hoga kya.
Par shayad woh kamre ki shaanti, Bhara hua pait, Haath ka Dard aur Gurleen ki awaaz ne saare baandh torr diye.
Yes I’m the guy who cries while watching Senti Movies.
10 days pehle bhi Patiala House movie ka ek scene dekhte hue aankhein Bhar aayi thi.
Par aise nahi roya tha.
So yes, if I have to pick my top 5 Meals, Then this Biryani would surely be counted. Jaadu tha uss Biryani mein.
Khaane ke Baad, Bahut Maza aaya 😊
Facebook post – https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=pfbid0Nwff9TM8u65YzDhZ9T6Nihh6eJcn9FeRrVAQRWrR9NKZAiQG79Y6QdQUZnXT1Srfl&id=1096084089
Leave a Reply