Yeh uss waqt ki baat hai jab Hum subah subah karmandal haath mein lekar dhoodh lene jaate the Mother Dairy par.
12 Rupye Kilo milta tha doodh uss waqt. Bhaiya inn paison ke badle mein Token dete the.
Uss Token ko jab machine mein daal ke Dhoodh nikalta tha to Iss Pandrah saal ke bacche ka Dil khush ho jaata tha. Haaye.
Aaj bhi Mother Dairy ke kisi Booth ke saamne se nikalta hu to ek baar chehre par muskaan aa hi jaati hai
Kuch cheezein badalti nahi, balki waqt ke saath aur bhi khaas ho jaati hain, Jaise yeh Mother Dairy ka booth – jo aaj bhi utna hi special hai jitna 50 saal pehle tha! Iski khoobsurti isi mein hai ki yeh sirf ek booth nahi, balki humari zindagi ka ek atoot hissa ban chuka hai.
Aapki ya aapke Parents ki bhi aisi koi yaadein hai kya?
#MotherDairy#Ad#MotherDairyMilk#MaaJaisi
Leave a Reply