Samosa Kachori Aur Imarti!!
Iss baar Gwalior chakkar laga toh pahunch gaye SS Kachori Wala, aur shuru kiya samosa-kachori se!
Garma-garam samosa, crispy kachori aur upar se woh khatti-meethi amchoor ki chutney… waah bhai waah!
Aur jab laga ki bas, pet bhar gaya… tab saamne aa gayi Imarti!
Chashni mein doobi hui, ekdum ras se bhari hui… ek bite liya aur dil khush!
Sabse acchi baat toh yeh thi ki wahan kha rahe logon se jab baat ki, toh pata laga ki sabka ek hi kehna tha ki unhe yahan ki kachori kamaal lagti hai aur saalon se khaa rahe hai
Gwalior ke log agar roz yahan aa rahe hain, toh kuch toh baat hai bhai!
SS Kachori Wala
Opp. Scientific Pathology, Naya Bazar Road, Lashkar, Gwalior, Madhya Pradesh – 474009
Timings:
7:30am-1:30pm
4pm-8:30pm
099078 80881

Leave a Reply