Vaishnav Chaat Bhandar
Located in Kamla Nagar since 1955, ye famous hai apne chatpatte chaat items ke liye and rightly so because actually mein kamaal hai.
Waise toh khaana mai humesha he haath dho kar khaata hu par iss baar socha why not give this beautiful message through my video, ki handwash karna kitna zaroori hai humaare liye.
Toh jee aap bhi khaane se pehle handwash karna kabhi mat bhoolna jee.
Ab batata hu khaane ke baare mein. Inke Soft Bhalle, Karari Paapdi, Meethi Thandi Dahi aur uske uppar khaas Masale aur Khatti meethi Chutney aur Saunth Jaadu kar deti hai.
Highly Recommended. Quantity acchi hoti hai so araam se khaa sakte ho jee.
Ab itne logo ke message aaye pichle kuch time mein ki jab bhi wahaan jaao then also try their Gol Gappe.
Aur sach bolu bahaut he shaandaar the.
Baad mein Pav Bhaji bhi try kari and loved it too.
Inka Swaad aur legacy justify kar deti hai ki ye jagah itni famous kaise hai.
Aur haan Savlon Swasth India ki Sunte jao, khaana haath dhoke khao.
Khaaya hai apne yahaan?
Vaishnav Chaat Bhandar
93-E, Kolhapur Road, Kamla Nagar, Delhi, 110007
#HandwashPromise#HandwashKarteJao
#SavlonSwasthIndiaMission#Ad
Leave a Reply