Review likhna tha, Kavita likh daali.
Ab tak Rampur do Wajah se suna tha.
Ek to Rampuri Churri and doosra Radico Khaitan.
Radico Khaitan is a Liquor company with brands like Magic Moments. Before it was named Radico Khaitan it was called Rampur Distillery & Chemical Company Ltd.

And jo reason aaj mila Rampur ko yaad rakhne ka, woh jeewan bhar saath rahega.
Hum Foodie Log jab Rampur ka sochte hai to bas ek hi naam zehan mein aata hai
Osama Jalali Sahab ka.

He is not only an acclaimed Food Writer, Restaurant Menu Creator but also a Very Knowledgeable Person on Ram Pur Cuisine. A Place where he belongs to. Currently (1st to 10 March) he is running a Food Festival named Gharana-E-Rampur at Hotel Double Tree Hilton, Gurgaon.
Barre Pyaar se unhone humko Bulaya and barre hi pyaar se hum pahunch gaye.
Restaurant Asia Alive ke Bahar Shama Jal rahi thi and Desi Ghee ki khushboo humko andar kheench rahi thi.
The Private Dining Room (PDR) was booked for 8 of us.

Osama Sahab to the hi, par saath mein the Dr Pushpesh Pant Sahab, Kunwar Hemendra Singh jee, Vrinda Kumari Singh jee, Rupali Dean jee, Chef Harangad Bhai and Chef Nishant Choubey Bhai 🙂
Mahaul garam tha, Gosht aur Khichri ki baatein chal rahi thi.

Baithte hi Gulas Ras pesh kiya gaya, Jo humne kuch ghoont mein gata liya,
Ab Khaane ka intezaar tha kyuki humara Pait kuch khaane ko bekaraar tha.
Bahut Umeed se hum yajaan aaye the, Socha tha Kebab khaayenge,
Pehli peshkash Yakhni Tali Boti ki hui, Jo mera dil Le gayi,
Usne mujhe Meri fav dish Tabak Maaz ki yaad dila di,
Chehre par wapas aa gayi thi muskaan,
Saare din ki mitt gayi thi Thakaan,
Uske baad aaye Kacche kele ke Kebab,
Vegetarian the woh, aur the bahut Lajawaab,
Starters ka silsila yuhi chalta raha
Nargisi Seekh Kebab, Mewa Mawa Kebab, Sufiani Seekh Kebab, Kathal Shammi Kebab humare table par aata gaya,
Har bite mein swaad ka fuwarra tha,
Aur abhi kuch hi der mein Main course bhi aa raha tha.
Kuch Gappo ka daur chalne laga,
Mein chup rehkar sab sin ne laga,
Barre barre Diggajo mein mein tha chotta sa insaan, bas battor raha tha un sab nr jo diya gyaan,
Beech Beech mein mein bhi kuch keh jaata,
Aur us kamre mein Sabka Thahaka lag jaata,
Baatein karte karte kuch achanak kuch Khushbu aane lagi,
Desi Ghee ki chanchal khushboo humko rijhane lagi,
Peeche dekha to Chaandi ke Dege saji thi,
Usme Rampur Gharane ki khaas Dishes parri thi,
Ek ek karke sabka dhakkan Khola gaya,
Hum sabke camero ne uss drishya ko Instagram ke liye qaid kiya.
Samajh nahai aaya kahaan se kare shuraat,
Tabhi Osama jee ne barraya apna haath,
Haath mein Gobhi Gosht ka Donga tha,
Jisme se Osama Bhai ne humko parosna tha,
Khud barre hi adab ke saath unhone humari Plate mein parosa Khaana,
Ek chamach mooh mein daala to mooh se khud B Khud nikalne laga sureela gaana,
Nonveg mein Gobhi Gosht ke baad Khaaya Taar Gosht, Urad Gosht Aur Rampuri Khichda
And Vegetarian mein Laute Palaute, Rampuri Mash ki Daal and Chana Dal Bharta,
Ek ek dish Lizzatdaar thi,
Aur itna khaana khakar Humari Belt tootne ke teyarr thi,
Socha ab chalenge, par yeh nahi pata tha ki abhi to Meethein bhi Pesh Honge,
Aaloo ka Zarda, Qimami Siwaiyan aur Gosht ke Halwe ne Jeet liya Dil,
Ab to chahte the ko bas Apna Bed Jaaye Mil,
Btana chahunga, Ki humare liye har dish ko khaandaani Rampuri Tashtari mein pesh kiya gaya,
Jisko dekhkar aankhon ka bhi Pait bhar gaya.
Yeh Rampuri Tyohaar bas 10 March ke liye hai, Normal Buffet lenge to usme yeh Bilkul shaamli hai,,
Bahar aakar, Kuch Gappe maari aur Khenchi kuch tasveer,
Aisa lazeez aur Etihasik khaana khane ko kahunga ko acchi hai Meri Taqdeer,
Subah utha to Biwi jee Boli ki raat ko kis se milkar aaye the,
Sote hue bhi hothon par muskurahat sajaye the,
Keh diya Humne, Ki Hothon ki kal khul gayi kismat, unhone kal chhu li Rampur ki riwayat.