As a 10-year-old Kid, I would pester my parents to take me to Moti Mahal Dx Restaurant in South Ex. & Angan at Hyatt Regency New Delhi for Dinner. Unka Khaana to kamaal tha hi par main reason that ki wahaan Roz Raat gazlein hoti thi.
Not sure why, but as a Youngster, I was always Driven towards Gazals & Qavalli’s. Shayad Gazalo ka ehsaas aur Qavalli ki taali ke andar ki mithaas woh reason ho.
Shayad yeh reason ho ki Gazalo aur Qavallis mein Shabdo ko bahut ahmiyat di jaati hai.
Hum barre ho gaye, Shaunk nahi badle, par zamana zaroor badal gaya,.
Ab na waise restaurant hai aur na hi waise kalakar.
Par kuch din pehle kuch alag hua.
I saw Qavalli Restaurant ka Post on instagram. Ek baar samjha ki bas naam mein hi Qavalli Hoga. Par jab acche se Post dekha to pata chala ki Sirf Restaurant ka naam hi Qavalli nahi, Mahaul, Interiors aur Khaana bhi Qavalli wala hai.
Bas kuch din baad hum explore karne chale gaye. Mein Wednesday ke din gaya yeh sochkar ki Wednesday to zaroor Qavalli hogi.
To my Dismay, Kyuki Navratre chal rahe the, hence Qavalli was not happening that day. Normally, Har Wednesday, Friday aur Saturday hoti hai.
Chalo, Qavalli ke liye phir kabhi aa jayenge, par aaj khaana to kha lete hai.
Andar Mahaul poora Set hai Qavalli waala. Woh Shaneel ke Maroon parde, Woh Gumbad jaisi chhat, Woh halki si rangeen lights aur woh Bheeni Bheeni si Rajnigandha aur Chameli ke phoolon ki Khushboo.
Chef Aman Bhai has created Qavalli ka menu. Aman Bhai has worked with some Great Chefs & has travelled extensively over the years to gain first-hand knowledge about the Lost Cuisines.
That Experience & Knowledge has been brought to Qavalli in a Array of Dishes.
Let me list down my favourites that you will also love.
Dhungaari Salmon Boti
Nawabs Galauti Kabab
Ashkauri Chaapein
Dhuadhaar Khumb
Main Course agli baar khayenge, aapko batayenge.
Waise Qavalli ke menu mein, Kaafi Nayab dishes hai jaise Rampuri Taar Korma, Jungle Maas, Rezala Etc.
Do not forget to order Desserts. Royal Kheer ne to mera Dil hi jeet liya.
Dinesh Bhaiya, I can see the same Freshness & Passion I witnessed 8 Years ago at Unplugged Launch time. Best Wishes
Qavalli,
WorldMark-1,
Aerocity
Leave a Reply