Idli ya idly?
Ab maine Bombay mein to Daabe waali Idli, Daabe Wala Poha bahut dekha hai, Par kabhi Dilli mein Darshan nahi hue.
Kolkata jab mein Arun Tea Stall par unki Special Kesar Chai peene gaya tab wahi paas mein ek Bhaiya, Barre Se Umbrella ki niche Idli bech rahe the.
Baarish ka mausam tha, Idli Fluffy lag rahi thi, aur jab log kha rahe the to humare mooh mein bhi paani aa gaya. Socha hum bhi khaate hai.
Baarish rukne ka naam nahi le rahi thi, Baarish mein Gaari tak ja nahi payenge to Humne Socha Mauke ka Fayda utha lete hai.
Bas phir ek plate Idli le li.
Plate, plate mein Kele ka patโta, Uske uppar 2 idly aur saath mein dher sari chutney.
Pehli bite and uppar se it was smooth like Velvet, and andar se the airy Pockets made you enjoy the idly more.
Idly bhi kha gaya, Saari Chutney bhi chaat gaya. Aur uske baad Baarish mein ek Kesar CHai aur pi gaya.
Shayad yeh Bhaiya subah subah hi apni Daabe waali idly bechte hai. So please go prepared.
So Chai bhi, Idly bhi aur saath hi sarak paar karne Annaras ki Farshan ki dukaan bhi. Dhokla bhi mast and get lots of Namkeens packed for home ๐
25/1, Shakespeare Sarani Rd, Mullick Bazar, Elgin, Kolkata, West Bengal 700017
Leave a Reply