Maine Poha to bahut khaya hai.
Tari wala Phoa suna tha par kabhi kahya nahi tha. Par iss baar Indore mein khaya Usal Poha. Poha ke uppar Pyaaz, Moong ki Daal, Uski Tari, Uppar Paneer ka piece. Jinko zyada mirch na chahiye ho woh uppar se Dahi bhi dalwa sake hai.
Sev to Indore ka Kesar hai, Woh har cheez par dalta hai, so woh bhi tha.
Ab try kiya, Kuch bites theek lagi, par samajh nahi aaya dhangg se. Felt like Dal Chawal kha rahe ho woh bhi theek-Thaak se.
We did not give up, iske baad ek aur jagah khaaya that served Chole instead of Moong Ki daal. Par same View hai apna. Kuch dosto ke saath jaao then you can try with one plate.
Waise Aapne khaya hai kya kabhi Usal Poha?

Leave a Reply