Hum gaye Mumbai aur wahan se kuch dil ke kareeb yaadein apne saath lekar aaye.
Chile Walnuts ke saath hum pahunche Vikas Vidyalaya for the Hearing & Speech Impaired. Jahan ye bacche padhte hain.
Plan simple tha, bachchon ke saath ek din masti aur khushiyon ke naam karna.
Bacchon ko Cool sunglasses pehnakar iss mazzedaar din ki Shuruaat kari.
Aur sach kahun, toh colouring, tattoo making, naachna, games aur unke saath waqt bitaane mein bahaut mazza aaya.
Chile Walnut colouring sheets ne bachchon ko kaafi khush kiya, aur humein unki creativity dekhkar bahut accha laga
Aise din yaad dilaate hain ki “Chef of Happiness” banne ke liye har baar kitchen ki zaroorat nahi hoti. Kabhi bas saath baithna, khelna aur kisi ki muskaan ka hissa banna hi kaafi hota hai.
Bachchon ko Chile Walnuts ke packs bhi gift kiye, taaki unke saath thodi si goodness bhi ghar tak jaaye.
@saransumit jee Bhaiya aur @chilewalnuts.india ka dil se shukriya, humein aise pyaare experiences ka hissa banane ke liye. Vikas Vidyalaya ki team aur sabhi bachchon ko bhi thank you for the warm welcome, smiles aur itna saara pyaar.
Mumbai hum Chile Walnuts ke bags lekar gaye the…
aur wapas yaadon, muskaanon aur khushiyon ka poora luggage lekar aaye.

Leave a Reply