Rasmalai Meri Favourite hai
Jee Yes, Jo Mujhe Pehchaante hai woh yeh Jaante hai ki “ I Love Rasmalai” ❤️
And I always say ki kabhi mein Beimaan ho jaau to samajh Lena kisi ne mujhe Rasmalai ki Rishwat di hai
And jahaan acchi Rasmalai Milti hai wahaan mein Kha leta hu
Dilli mein ab zyada acchi Rasmalai nahi milti
Par my fav Rasmalai in the past 4 Months have been at Kundan Sweets Gajraula, Om Sweets Faridabad, Brijwasi Delhi aur Madhurima Lucknow.
Ab ek naam aur add ho gaya hai.
Lallan Singh Dhaba in Bihar. On Highway connecting Hajipur to Mujaffarpur.
Ek Rasmalai is good enough. Ek hi Rasmalai Poori Plate bhar leti hai.
Pure Airy Chainna and Khaoge to So soft hai ki Chabane ki zyada Zaroorat nahi pareggi. Khud hi ghul jayegi.
Kesar bhi khul ke daalte hai 😊
Aapki Best Rasmalai kahaan ki hai? 😊
LSD aka Lalan Singh ka Dhaba 😃
Saidpur Paterha
Highway connecting Hajipur and Muzaffarpur
+919801391303

Leave a Reply